Urdu poetry اُردُو شاعرى is the famous poetry in the world that has many different forms. In Urdu Poetry lot of concepts and structure is Arabic Originated. First of All at present it is most important part of South Asia. Jigar, Faiz, Firaq, Shakeb Jalali, Meer, Dard, Ghalib, Anees, Daag Dehlvi, Dabeer, Iqbal, Zauq, Josh, Akbar, Ahmad Nadeem Qasmi, Shair, Mohsin, Faraz,Faizi and Allama Muhammad Iqbal are those poets the world can never forget. Bollywood movies have alot of part taken in their songs and movies from Urdu Poetries.
Un Ke Bare Mai Hai Up to Date Apni Aagahi
Kon Se Thay Jin Ke Ham Zakhm Judai Seh Gye
Shukar Hai Niswar Ki Dabya Pe Aeina Bi Hai
Dekh Lete Hain Ke Kitne Dant Baqi Reh Gye
Jaan Ki Bheek Mangne Ki Liye Bi
Kabi Hath Ham Ne Phelia Hi Nahi
Anjum Muj Ko Mere Waa’z Ne
Sisak Kar Jena Sikhaya Hi Nahi
Un Se Bichar Kar Ab Din Raat Sanam Ham Rotay Hain
Meri Neend Gai Mera Chain Gaya aur Chain Se Woh Sotay Hain
Aaj Bi Us Ki Aankhon Mein Raaz Wohi Tha
Chehra Wohi Tha Chehra Ka Libas Wohi Tha
Kese Us Ko Bewafa Keh Doon Yaro
Aaj Be Us Ke Dekhne Ka Andaaz Wohi Tha
Sitaron Se Uljata Ja Raha Hun
Shab Farqat Bohat Gabrha Raha Hun
Tere Gham Ko Bhi Kuch Behla Raha Hun
Yaqeen Hai Haqeqat Khul Rahi Hai
Ghuman Ye Hai Ko Dhoke Kha Raha Hun
Agar Mumkin Ho Le Le Apni Aahat
Khabar Do Husn Ko Aa Raha Hun
Hadain Husn-O Mohabat Ki Mila Kar
Qayamat Par Qayamat Dha Raha Hun
Khabar Hai Tujh Ko Aey Zabt-E Mohabat
Tere Hathon Mein Lutta Ja Raha Hun
Asar Bhi Le Raha Hun Teri Chup Ka
Tujhe Qayal Bhi Karta Ja Rah Hun
Bharam Tere Sutam Ka Khul Chuka Hai
Main Tujh Se Aj Kun Sharma Raha Hun
Inhein Mein Raaz Hain Gulbarion Ke
Main Jo Chingariya Barsa Raha Hon
Jo In Masoom Aankhon Ne Diye Thay
Wo Dhokay Aj Tak Kha Raha Hun
Tere Pehlu Main Kun Hota Hai Mehsoos
Keh Tujh Se Dor Hota Ja Raha Hun
Had Jo Ro Karam Se Barh Chala Husn
Nigha Yar Ko Yaad Aa Raha Hun
Jo Uljhi Thi Kabi Aadam Ke Hathon
Wo Guthi Aj Tak Suljha Raha Hun
Mohabat Ab Mohabat Ho Chali Hai
Tuje Kuch Bholta Ja Raha Hun
Ajal Bhi Jin Ko Sun Kar Jhoomti Hai
Wo Naghme Zindagi Ke Ga Raha Hun
Ye Sunata Hai Mere Paon Ki Chap
Firaq Apni Kuch Aahat Pa Rah Hun
Badal Hon Baras Jaon Tu Ilzam Na Dena
Tere Daman Mai Simat Aaon Tu Ilzam Na Dena
Rahat Hon Hmesha Tere Aangan Mai Rahon Ga
Khushbu Hun Bikhar Jaon Tu AIlzam Na Dena
Main Phool Hon Balon Mein Sajaye Hoye Rakhna
Sanson Mein Mehak Jaon Tu Alzam Na Dena
Bahon Se Lipat Jaon Ga Gajron Ki Tarah
Qurbat Se Behak Jaon Tu Alzam Na Dena
Khawabon Ki Tarah Aankhon Mein Basaye Hoye Rakhna
Teri Neendon Mein Bhatak Jaon Tu Alzam Na Dena
Phir Meri Aankh Ho Gayi Ghamnak
Phir Kisi Ne Mazaj Pocha Hai
Ajab Jalwa Numai Hai, Jidhar Dekhun Tumhi Tum Ho
Mujhe Tu Aaine Mein Aks Bhi Mera Nahi Milta
Mein Jahan Hun Tere Khayal Mein Hun
Tu Jahan Hai Meri Nigah Mein Hai
Kal Raat Barasti Rehi Sawan Ki Ghata Bi
Aur Ham Bi Teri Yad Main Dil Khol Ke Roye
Urdu Poetry
Khud dariyon Ke Khon Ko Arzan Na Kar Sake
Ham Apne Johron Ko Nmyan Na Kar Sake
Kis Darja Dil Shakan They Mohabat Ke Haadse
Ham Zindagi Mein Phir Koi Arman Na Kar Sake
———————–
Sehra Ki Tarah Rehte Hoye Thak Gai Aankhen
Dukh Kehta Hai Ab Koi Sehra Bi Tu Dekhon
Ye Kya Ke Wo Jab Chahe Muje Chen Le Muj Se
Apne Liye Wo Shakhs Trapta Bi Tu Dekhon